1)
Hazaaron Line-en Aisi,
Ke Har Line pe bug nikle,
Bahut Nikle mere code mein bug,
Magar phir bhi kam nikle.
(RemixOf(
Hazaaron Khwaahishen Aisi,
Ke Har Khwaahish pe dum nikle,
Bahut nikle mere Armaan,
Magar phir bhi kam nikle.
))
[Note : Remix created by a friend called Joseph
Pradyot Kujur .]
2)
Hamen Jehar peene kee,
Chaahat na hoti,
Agar Tum na hote.
(RemixOf(
Hamen Aur Jeene Kee,
Chaahat na hoti,
Agar Tum na hote.
))
3)
Laayak nahin, Nalaayak hoon main,
Fraudy bada, dukhdaayak hoon main,
Is Job ki, mujhko kya samajh,
Is Job ke, kahaan laayak hoon main.
JEE HAN, MAIN HOON NALAAYAK !!!
(RemixOf(
Naayak nahin, Khalnaayak hoon main,
Julmi badaa, dukhdaayak hoon main,
Is Pyaar kee, mujhko kya kadar,
Is Pyaar Ke, kahaan laayak hoon main.
JEE HAN, MAIN HOON KHALNAAYAK
))
4)
Jab koi bug, nikal jaaye,
Yaa code, crash kar jaaye,
Kar dena, maaf mujhe,
O Customer !!
(RemixOf(
Jab koi baat, bigad jaaye,
Yaa koi, mushkil pad jaaye,
Tum dena, saath meraa,
O Humnavaaaab !!
))
5)
Program meraa, chalaate ho,
To kuchh, ghabra se jaate ho,
Isi ko crash, kehte hain,
Isi ko crash, kehte hain.
(RemixOf(
Nazar mujhse, milaati ho,
To Kuchh, sharmaa se jaati ho,
Isi ko, pyaar kehte hain,
Isi ko, pyaar kehte hain.
))
6)
Hamaari hi, coding ne,
Customer ko maraaa,
Jab bhi karenge,
Royega bechaaraa.
(RemixOf(
Hamaari hi, mutthi mein,
Aakash saaraaa,
Jab bhi khulegi,
Chamkegaa taaraa.
))
7)
Mera program bikne pe,
Main bahut khush hua,
Crash hota hai,
To phir kyaa hya ?
phir kyaa hua ?
(RemixOf(
Tumko khush dekh kar,
Main bahut khush hua,
Ye aankh bhar aayee,
To phir kya hua ?
phir kya hua ?
))
8)
Humkaa s/w engg. na samjho,
Hum bade kaam ke cheez,
Coding kaise kee jaati hai,
Humkaa hai tameez.
(RemixOf(
Humkaa aisa vaisa, na samjho,
Hum bade kaam ki cheez,
Kaun bura hai, kaun bhalaa hai,
Humkaa hai tameez.
))
9)
Crash hote hain, Code-E-Mahaan hee,
Site-E-Customer pe,
Woh kyaa khaak crash honge,
Jo Customer khud likhe.
(RemixOf(
Girte hain, Sher-E-Savaar hee,
Maidaan-E-Jung mein,
Woh kyaa khaak girenge,
Ho Ghutnon ke bal chalen.
))
Related Shar :
“Humko maaloom hai,
Zannat ki hakeekat lekin,
Dil ke khush rehne ko,
Gaalib, ye khyaal achhaa hai.”
10)
Shaayad unka, aakhiri ho Ye Sher,
Subpe “Wah Wah”, Ye samakh kar keh gaye.
(RemixOf(
Shaayad unka, aakhiri ho ye sitam,
Har sitam, hum ye samajh kar seh gaye.
))