Friday, February 25, 2011

Dosti..

Arz kiya hai.
Dost,

Chera har kisi ko dikhaya nahin jata,
man mein har kisi ko basaya nahin jata,
marey dost, yai dil, mahez dil nahin, ek mandir hai
har kisi ko, is main basaya nahin jata.

Kareeb aao, merey dost bano, marey hamraz bano,
dosti cheez hai keya, marey dost bataingey tumehen,

Ye who subha hai jis ki na sham hoti hai,
ye who umr hai jo kabhi na tamam hoti hai,
jo kartin hain isey who duniya ko bhool jatey hain,
duniya un ko yad karti hai, woh duniya ko yad atey hain.

0 comments:

Post a Comment