Wednesday, December 29, 2010

Kahan Chal Diye Chhod Kar..(कहाँ चल दिए छोड़ कर..)

************************************
मत मिलो मुझसे इन पर्वतों की ऊँचाइयों में,
सुना है तारे भी कभी फलक से गिरा करते हैं !

कहाँ चल दिए छोड़ कर ये मयखाने की दीवारें,
सुना है खुदा-परस्त भी यहाँ छुप छुप के मिला करते हैं !

यूँ न डूबो इन सागर की गहराइयों में,
कि जीने वाले तो ग़मों के सहारे भी रहा करते हैं !

एक बार रुक कर, मुड कर तो देखो इस तरफ,
हम भी देखें, वफाओं के फकीर, कब तक अकेले चला करते हैं !!
************************************
************************************
Mat Milo Mujhse In Parbbaton Ki Oonchaiyon Mein,
Suna Hai Taarey Bhi Kabhi Falak Se Toot Kar Gira Karte Hain..

Kahan Chal Diye Chhod Kar Yeh Maikhaney Ki Diwaarein,
Suna Hai Khuda-Parast Bhi Yahan Chhup Chhup Ke Mila Karte Hain..

Yun Na Dubo In Sagar Ki Gehrayion Mein,
Ke Jeene Wale To Gammon Ke Sahare Bhi Raha Karte Hain..

Ek Baar Ruk Kar, Mudd Kar To Dekho Is Taraf,
Hum Bhi Dekhein, Wafaaon Ke Fakir, Kab Tak Akele Chala Karte Hain..
************************************

0 comments:

Post a Comment